chhupega chehre ka zang kab tak jhalak raha hai
chhupegā chehre kā zang kab tak jhalak rahā hai
ḳhushā ki duniyā-e-dūñ se parda sarak rahā hai
yahāñ pe koī sitam-gazīda nahīñ hai jānāñ
bas ek merā hī dil hai ab tak dhaḌak rahā hai
na jaane kab se bujhī haiñ āñkheñ magar abhī tak
vo ek TuuTā huā sitāra chamak rahā hai
ab is tanāzur meñ dostoñ par bhī guftugū ho
hamāre zaḳhmoñ pe kab thā marham namak rahā hai
chhupega chehre ka zang kab tak jhalak raha hai
KHusha ki duniya-e-dun se parda sarak raha hai
yahan pe koi sitam-gazida nahin hai jaanan
bas ek mera hi dil hai ab tak dhaDak raha hai
na jaane kab se bujhi hain aankhen magar abhi tak
wo ek TuTa hua sitara chamak raha hai
ab is tanazur mein doston par bhi guftugu ho
hamare zaKHmon pe kab tha marham namak raha hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 58)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.