chhupi kahan hai kisi se bhi koi baat meri
chhupī kahāñ hai kisī se bhī koī baat mirī
khulī kitāb ke mānind hai hayāt mirī
vo shaḳhs mujh meñ ḳhalā DhūñDte nahīñ thaktā
maiñ jis meñ DhūñDhtā rahtā huuñ kā.enāt mirī
suḳhan-varī kī yahāñ dhun savār hai sab par
sukūñ se kaun sunegā yahāñ pe baat mirī
maiñ us kī samt baḌhā aur itnī tez baḌhā
ki pīchhe rah ga.ī jaldī meñ zāt-pāt mirī
chhupi kahan hai kisi se bhi koi baat meri
khuli kitab ke manind hai hayat meri
wo shaKHs mujh mein KHala DhunDte nahin thakta
main jis mein DhunDhta rahta hun kaenat meri
suKHan-wari ki yahan dhun sawar hai sab par
sukun se kaun sunega yahan pe baat meri
main us ki samt baDha aur itni tez baDha
ki pichhe rah gai jaldi mein zat-pat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.