chhupne ke liye to meri aankhen hi bahut hain
chhupne ke liye to merī āñkheñ hī bahut haiñ
manzūr-e-nazar sab ke hoñ chāheñ bhī bahut haiñ
sirf apne liye jiine ko jiinā nahīñ kahte
is raah meñ rishtoñ kī sarā.eñ bhī bahut haiñ
TuuTe hue va.adoñ kī surañgoñ meñ gharoñ ko
jalte hue zaḳhmoñ kī shuā.eñ bhī bahut haiñ
har shai pe lagī hai yahāñ nīlām kī bolī
barbādī-e-aḳhlāq kī rāheñ bhī bahut haiñ
haiñ zulm ke patthar mire raste meñ añdhere
Takrā.eñ jo aapas meñ to kirneñ bhī bahut haiñ
jhūToñ ko Darāte haiñ unhīñ ke dar-o-dīvār
haq par haiñ agar ham to panāheñ bhī bahut haiñ
bachpan meñ machal paḌnā bhī ik haq thā hamārā
ab aise machalne kī sazā.eñ bhī bahut haiñ
āzādī-e-bāzār meñ raunaq hai ġhazab kī
lekin yahāñ māsūmoñ kī chīḳheñ bhī bahut haiñ
aise bhī shanāsāoñ meñ haiñ chor ki jin ke
roze bhī bahut aur namāzeñ bhī bahut haiñ
chhupne ke liye to meri aankhen hi bahut hain
manzur-e-nazar sab ke hon chahen bhi bahut hain
sirf apne liye jine ko jina nahin kahte
is rah mein rishton ki saraen bhi bahut hain
TuTe hue wadon ki surangon mein gharon ko
jalte hue zaKHmon ki shuaen bhi bahut hain
har shai pe lagi hai yahan nilam ki boli
barbaadi-e-aKHlaq ki rahen bhi bahut hain
hain zulm ke patthar mere raste mein andhere
Takraen jo aapas mein to kirnen bhi bahut hain
jhuTon ko Daraate hain unhin ke dar-o-diwar
haq par hain agar hum to panahen bhi bahut hain
bachpan mein machal paDna bhi ek haq tha hamara
ab aise machalne ki sazaen bhi bahut hain
aazadi-e-bazar mein raunaq hai ghazab ki
lekin yahan masumon ki chiKHen bhi bahut hain
aise bhi shanasaon mein hain chor ki jin ke
roze bhi bahut aur namazen bhi bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.