chhupne wale ye bhi chhupne ka koi andaz hai
chhupne vaale ye bhī chhupne kā koī andāz hai
tū hai parde meñ magar bāhar tirī āvāz hai
haa.e kyā bāñkī adā hai kyā ḳhirām-e-nāz hai
chaal ḳhanjar kī urūs-e-teġh kā andāz hai
ishq meñ kāmil huuñ maiñ vo husn meñ mumtāz hai
maiñ sarāpā-dard huuñ qātil sarāpā-nāz hai
ḳhair ho yā-rab mohabbat kā abhī āġhāz hai
rang-e-ruḳh merā abhī se mā.il-e-parvāz hai
bijliyoñ meñ ghir gayā hai dil ilāhī ḳhair ho
shoḳhiyāñ aafat haiñ qahr us par nigāh-e-nāz hai
tum ga.e gul-gasht ko rusvā.iyoñ ke gul khile
ham na kahte the zamāne kī havā nā-sāz hai
ye to kahiye jaan bhī dil bhī jigar bhī le chuke
ab ye kis kī taak meñ chashm-e-fusūñ-pardāz hai
ek vo jallād hai bulbul hai jis kī qaid meñ
dūsrā jallād us kī hasrat-e-parvāz hai
shukr kī jā he ki terā husn merā ishq aaj
qābil-e-sad-āfrīñ hai māya-e-sad-nāz hai
chārasāzoñ meñ ḳhudā rakkhe yahī ab rah ga.e
aah hai hamdam mirī dard-e-jigar dam-sāz hai
dost ban ban ke mire dushman banāte haiñ mujhe
ye zamāna bhī magar kitnā zamāna-sāz hai
donoñ apne fan meñ kāmil haiñ magar itnā hai farq
mujh ko hai mashq-e-vafā qātil ko ishq-e-nāz hai
dil meñ zālim ke hai go merī mohabbat kā asar
muñh se kah saktā nahīñ ye ik sitam kā raaz hai
ḳhosha-chīñ us kā huuñ 'safdar' jis ko kahte haiñ 'jalīl'
sāmne ḳhāmosh jis ke bulbul-e-shīrāz hai
chhupne wale ye bhi chhupne ka koi andaz hai
tu hai parde mein magar bahar teri aawaz hai
hae kya banki ada hai kya KHiram-e-naz hai
chaal KHanjar ki urus-e-tegh ka andaz hai
ishq mein kaamil hun main wo husn mein mumtaz hai
main sarapa-dard hun qatil sarapa-naz hai
KHair ho ya-rab mohabbat ka abhi aaghaz hai
rang-e-ruKH mera abhi se mail-e-parwaz hai
bijliyon mein ghir gaya hai dil ilahi KHair ho
shoKHiyan aafat hain qahr us par nigah-e-naz hai
tum gae gul-gasht ko ruswaiyon ke gul khile
hum na kahte the zamane ki hawa na-saz hai
ye to kahiye jaan bhi dil bhi jigar bhi le chuke
ab ye kis ki tak mein chashm-e-fusun-pardaz hai
ek wo jallad hai bulbul hai jis ki qaid mein
dusra jallad us ki hasrat-e-parwaz hai
shukr ki ja he ki tera husn mera ishq aaj
qabil-e-sad-afrin hai maya-e-sad-naz hai
chaarasazon mein KHuda rakkhe yahi ab rah gae
aah hai hamdam meri dard-e-jigar dam-saz hai
dost ban ban ke mere dushman banate hain mujhe
ye zamana bhi magar kitna zamana-saz hai
donon apne fan mein kaamil hain magar itna hai farq
mujh ko hai mashq-e-wafa qatil ko ishq-e-naz hai
dil mein zalim ke hai go meri mohabbat ka asar
munh se kah sakta nahin ye ek sitam ka raaz hai
KHosha-chin us ka hun 'safdar' jis ko kahte hain 'jalil'
samne KHamosh jis ke bulbul-e-shiraaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.