chhupta nahin naqab mein jalwa shabab ka
chhuptā nahīñ naqāb meñ jalva shabāb kā
nikle hai chhan ke tāroñ se nuur āftāb kā
kuchh dil se apne pūchh ke vā'iz hameñ batā
yuuñ bār-bār de na havāla kitāb kā
kausar ke sāth-sāth hai tasnīm bhī vahīñ
naqsha to ḳhuub khīñchā hai vā'iz sarāb kā
kab tak mareñge aas meñ insāf kī bashar
kyoñ muntazir hai maulā tū roz-e-hisāb kā
āġhāz-e-kā.enāt kī thī jis meñ dāstāñ
lagtā hai phaT gayā hai vo pannā kitāb kā
kuchh apnā ird-gird badal kar dikhā 'sadā'
nāhaq paḌhā na sab ko sabaq inqalāb kā
chhupta nahin naqab mein jalwa shabab ka
nikle hai chhan ke taron se nur aaftab ka
kuchh dil se apne puchh ke wa'iz hamein bata
yun bar-bar de na hawala kitab ka
kausar ke sath-sath hai tasnim bhi wahin
naqsha to KHub khincha hai wa'iz sarab ka
kab tak marenge aas mein insaf ki bashar
kyon muntazir hai maula tu roz-e-hisab ka
aaghaz-e-kaenat ki thi jis mein dastan
lagta hai phaT gaya hai wo panna kitab ka
kuchh apna ird-gird badal kar dikha 'sada'
nahaq paDha na sab ko sabaq inqalab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.