chhuT ke ab tujhse ye aalam hai ki rote na bane
chhuT ke ab tujh se ye aalam hai ki rote na bane
zinda rahte na bane jaan bhī khote na bane
shorish-e-ġham bhī nahīñ sheva-e-arbāb-e-vafā
uñgliyāñ apne lahū meñ bhī Dubote na bane
ab to har saañs pe duniyā kā ḳhayāl aatā hai
ab to dāman bhī tire ġham meñ bhigote na bane
kashmakash aaj hai vo mastī-o-hushyārī kī
tere gesū kī ghanī chhāñv meñ sote na bane
dil kā ye haal ki ab zabt kā yaarā bhī nahīñ
pās-e-nāmūs-e-mohabbat bhī ki rote na bane
baat bantī hai kahīñ ashk-e-nadāmat se 'payām'
daaġh dāman ke kisī tarah bhī dhote na bane
chhuT ke ab tujh se ye aalam hai ki rote na bane
zinda rahte na bane jaan bhi khote na bane
shorish-e-gham bhi nahin shewa-e-arbab-e-wafa
ungliyan apne lahu mein bhi Dubote na bane
ab to har sans pe duniya ka KHayal aata hai
ab to daman bhi tere gham mein bhigote na bane
kashmakash aaj hai wo masti-o-hushyari ki
tere gesu ki ghani chhanw mein sote na bane
dil ka ye haal ki ab zabt ka yara bhi nahin
pas-e-namus-e-mohabbat bhi ki rote na bane
baat banti hai kahin ashk-e-nadamat se 'payam'
dagh daman ke kisi tarah bhi dhote na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.