chhu kar hawa pata tere ashkon ka de gai
chhū kar havā patā tire ashkoñ kā de ga.ī
dil kā qarār chain nigāhoñ kā le ga.ī
be-ḳhvāb merī niiñd ki jis tarah shab Dhale
ik sham.a dil kā dard akele sahe ga.ī
mauzūñ huā na koī bhī dil meñ ḳhayāl-e-shauq
dil meñ jo aarzū kī chitā thī jale ga.ī
sāhil pe jis qadar bhī gharauñde the bah ga.e
dīvār jo vafāoñ kī zāmin thī Dhe ga.ī
manzar badal badal ke mujhe de gayā sarāb
dil kā yaqīn qīmtī shai thī vo shai ga.ī
tāsīr ġham bhulāne kī kho dī sharāb ne
joñ hī hamāre haath se chhū kar ye mai ga.ī
chhu kar hawa pata tere ashkon ka de gai
dil ka qarar chain nigahon ka le gai
be-KHwab meri nind ki jis tarah shab Dhale
ek shama dil ka dard akele sahe gai
mauzun hua na koi bhi dil mein KHayal-e-shauq
dil mein jo aarzu ki chita thi jale gai
sahil pe jis qadar bhi gharaunde the bah gae
diwar jo wafaon ki zamin thi Dhe gai
manzar badal badal ke mujhe de gaya sarab
dil ka yaqin qimti shai thi wo shai gai
tasir gham bhulane ki kho di sharab ne
jon hi hamare hath se chhu kar ye mai gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.