chhu kar kisi ki zulf-e-muattar machal gae
chhū kar kisī kī zulf-e-muattar machal ga.e
jhoñke ḳhunuk havāoñ kī ḳhushbū meñ Dhal ga.e
kis se kareñ umīd-e-vafā is jahān meñ
is dil ko jin pe naaz thā vo bhī badal ga.e
jis vaqt ham ne jhuum kar azm-e-safar
lākhoñ charāġh rāh-e-mohabbat meñ jal ga.e
ai dost ham ne ishq-o-mohabbat kī raah meñ
Thokar to saḳht khaa.ī thī lekin sambhal ga.e
'nayyar' hamāre dil meñ the armān jis qadar
ālām-e-rozgār ke sāñche meñ Dhal ga.e
chhu kar kisi ki zulf-e-muattar machal gae
jhonke KHunuk hawaon ki KHushbu mein Dhal gae
kis se karen umid-e-wafa is jahan mein
is dil ko jin pe naz tha wo bhi badal gae
jis waqt hum ne jhum kar azm-e-safar
lakhon charagh rah-e-mohabbat mein jal gae
ai dost hum ne ishq-o-mohabbat ki rah mein
Thokar to saKHt khai thi lekin sambhal gae
'nayyar' hamare dil mein the arman jis qadar
aalam-e-rozgar ke sanche mein Dhal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.