chhu ke guzra mujhe zamana sa
chhū ke guzrā mujhe zamāna sā
pairahan ho gayā purānā sā
ik purānā sā rabt hai us se
ik ta.alluq hai ġhā.ebāna sā
ek qatra sadaf meñ kyā utrā
khul gayā ek kār-ḳhāna sā
dil kī TuuTī fasīl meñ ab bhī
ek dar vā hai ārifāna sā
ab bhī us kī galī meñ muḌtā hai
dil se ik rāsta purānā sā
thī nazar us pe dushmanoñ jaisī
ishq jis se thā vālihāna sā
ḳhāmushī ghar kī Dar hī hai 'shahāb'
duur ik shor hai suhānā sā
chhu ke guzra mujhe zamana sa
pairahan ho gaya purana sa
ek purana sa rabt hai us se
ek talluq hai ghaebana sa
ek qatra sadaf mein kya utra
khul gaya ek kar-KHana sa
dil ki TuTi fasil mein ab bhi
ek dar wa hai aarifana sa
ab bhi us ki gali mein muDta hai
dil se ek rasta purana sa
thi nazar us pe dushmanon jaisi
ishq jis se tha walihana sa
KHamushi ghar ki Dar hi hai 'shahab'
dur ek shor hai suhana sa
- Book : safar aamada (Pg. 36)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.