chhu ke kya zulf-e-pareshan ko saba aai hai
chhū ke kyā zulf-e-pareshāñ ko sabā aa.ī hai
aaj dīvāne ne jiine kī qasam khaa.ī hai
mahfil-e-nāz meñ har ik se shanāsā.ī hai
phir bhī har gaam pe andesha-e-rusvā.ī hai
kuchh ḳhabar bhī hai urūs-e-ġham-e-daurāñ tujh ko
kaun sī baat hameñ raah pe le aa.ī hai
itnī pur-pech hai ai jān-e-jahāñ rāh-e-hayāt
terī zulfoñ kī har ik gaam pe yaad aa.ī hai
jhāñktā rahtā hai ḳhvāboñ ke darīche se koī
kitnī pur-kaif hamārī shab-e-tanhā.ī hai
kyā tire chāhne vāloñ meñ hai us kā bhī shumār
jo na dīvāna hai majnūñ hai na saudā.ī hai
sochtā huuñ ki na guzre kahīñ kuchh un pe girāñ
aaj phir sāz-e-shikasta pe ġhazal gaa.ī hai
chhu ke kya zulf-e-pareshan ko saba aai hai
aaj diwane ne jine ki qasam khai hai
mahfil-e-naz mein har ek se shanasai hai
phir bhi har gam pe andesha-e-ruswai hai
kuchh KHabar bhi hai urus-e-gham-e-dauran tujh ko
kaun si baat hamein rah pe le aai hai
itni pur-pech hai ai jaan-e-jahan rah-e-hayat
teri zulfon ki har ek gam pe yaad aai hai
jhankta rahta hai KHwabon ke dariche se koi
kitni pur-kaif hamari shab-e-tanhai hai
kya tere chahne walon mein hai us ka bhi shumar
jo na diwana hai majnun hai na saudai hai
sochta hun ki na guzre kahin kuchh un pe giran
aaj phir saz-e-shikasta pe ghazal gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.