chhuT jata hai ek jahan humse
chhūT jaatā hai ik jahāñ ham se
suniye us ghar kī dāstāñ ham se
taarā laTkā huā thā Tahnī par
chhīn letā na āsmāñ ham se
rāsta phūñk phūñk chalte haiñ
aur havā kā hai bādbāñ ham se
girte patte shumār karte haiñ
kyoñ na kuchh aur imtihāñ ham se
un ke saa.e meñ kāTte haiñ unheñ
bhāgte haiñ shajar kahāñ ham se
jān-e-jānāñ hai jaañ hai nas nas meñ
duur ho jā balā-e-jāñ ham se
apne saa.e meñ hai vajūd apnā
aur milte haiñ ham kahāñ ham se
phuul urdu ke khilte haiñ 'nāzir'
chhīn le kaun ye zabāñ ham se
chhuT jata hai ek jahan hum se
suniye us ghar ki dastan hum se
tara laTka hua tha Tahni par
chhin leta na aasman hum se
rasta phunk phunk chalte hain
aur hawa ka hai baadban hum se
girte patte shumar karte hain
kyon na kuchh aur imtihan hum se
un ke sae mein kaTte hain unhen
bhagte hain shajar kahan hum se
jaan-e-jaanan hai jaan hai nas nas mein
dur ho ja bala-e-jaan hum se
apne sae mein hai wajud apna
aur milte hain hum kahan hum se
phul urdu ke khilte hain 'nazir'
chhin le kaun ye zaban hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.