chhuTega ji na ji na gulistan-e-arzu
chhūTegā jī na jī na gulistān-e-ārzū
bulbul ke chūtaḌoñ meñ hai paikān-e-ārzū
saale jo tū hai sham-e-shabistān-e-ārzū
kahte haiñ ham ko soḳhta-sāmān-e-ārzū
kaise nikālūñ dil ke maiñ paikān-e-ārzū
ye to namak-harām hai mehmān-e-ārzū
ullū kā paTThā ġhairoñ ko bosa diye gayā
phailā hī rah gayā mirā dāmān-e-ārzū
dekhā jo merā aage se kurtā phaTā huā
bole ki aao chāk-garebān-e-ārzū
māñgā jo un se bosa-e-lab muskurā diye
phūloñ se bhar diyā mirā dāmān-e-ārzū
chūlhe meñ jal ke ho gayā biivī kā intiqāl
ham phir rahe haiñ soḳhta-sāmān-e-ārzū
andher ho gayā dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ
gul ho ga.ī hai sham-e-shabistān-e-ārzū
vahshat pe merī rahm jo aayā to ye kahā
aao idhar ko chāk-garebān-e-ārzū
buniyād Daal dī thī tumhāre ḳhayāl kī
ta.amīr jab huā mirā aivān-e-ārzū
va.ada kiyā hai 'būm' se milne kā raat ko
umḌā huā hai siine meñ tūfān-e-ārzū
chhuTega ji na ji na gulistan-e-arzu
bulbul ke chutaDon mein hai paikan-e-arzu
sale jo tu hai sham-e-shabistan-e-arzu
kahte hain hum ko soKHta-saman-e-arzu
kaise nikalun dil ke main paikan-e-arzu
ye to namak-haram hai mehman-e-arzu
ullu ka paTTha ghairon ko bosa diye gaya
phaila hi rah gaya mera daman-e-arzu
dekha jo mera aage se kurta phaTa hua
bole ki aao chaak-gareban-e-arzu
manga jo un se bosa-e-lab muskura diye
phulon se bhar diya mera daman-e-arzu
chulhe mein jal ke ho gaya biwi ka intiqal
hum phir rahe hain soKHta-saman-e-arzu
andher ho gaya dil-e-KHana-KHarab mein
gul ho gai hai sham-e-shabistan-e-arzu
wahshat pe meri rahm jo aaya to ye kaha
aao idhar ko chaak-gareban-e-arzu
buniyaad Dal di thi tumhaare KHayal ki
tamir jab hua mera aiwan-e-arzu
wada kiya hai 'bum' se milne ka raat ko
umDa hua hai sine mein tufan-e-arzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.