chhuTta hai hath se daman agar tadbir ka
chhūTtā hai haath se dāman agar tadbīr kā
paañv meñ ehsās hotā hai hameñ zanjīr kā
hausla īmān-e-kāmil zor-e-bāzū chāhiye
mard ko zebā nahīñ detā gila taqdīr kā
tajrabe har roz hote hoñ na.e jis shahr meñ
kyā ta.ajjub hai ki sar kaT jaa.e be-taqsīr kā
ḳhuun jis ne bhī kiyā ho log ye kahte rahe
naqsh thā dil par hamāre aap kī shamshīr kā
yuuñ sunahre ḳhvāb ke pīchhe magan hai har javāñ
ho bahut āsān laanā jaise jū-e-shīr kā
ḳhidmat-e-maḳhlūq ho yā ho adab kā tazkira
maiñ nahīñ qaa.il rahā huuñ ḳhud-ba-ḳhud tash.hīr kā
ġham agar aa.e ḳhushī ke baad to hairat nahīñ
ek ruḳh hotā nahīñ 'shāhid' kisī tasvīr kā
chhuTta hai hath se daman agar tadbir ka
panw mein ehsas hota hai hamein zanjir ka
hausla iman-e-kaamil zor-e-bazu chahiye
mard ko zeba nahin deta gila taqdir ka
tajrabe har roz hote hon nae jis shahr mein
kya tajjub hai ki sar kaT jae be-taqsir ka
KHun jis ne bhi kiya ho log ye kahte rahe
naqsh tha dil par hamare aap ki shamshir ka
yun sunahre KHwab ke pichhe magan hai har jawan
ho bahut aasan lana jaise ju-e-shir ka
KHidmat-e-maKHluq ho ya ho adab ka tazkira
main nahin qail raha hun KHud-ba-KHud tashhir ka
gham agar aae KHushi ke baad to hairat nahin
ek ruKH hota nahin 'shahid' kisi taswir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.