chiKH uThti hai Dagar raat ke sannaTe mein
chīḳh uThtī hai Dagar raat ke sannāTe meñ
kaun hai mahv-e-safar raat ke sannāTe meñ
khiḌkiyāñ soī huī haiñ abhī hamsāyoñ kī
ro rahā hai mirā ghar raat ke sannāTe meñ
thak ke fōtpath pe so.e haiñ abhī kuchh mazdūr
ai saḌak shor na kar raat ke sannāTe meñ
merī khiḌkī na.ī tasvīr dikhā detī hai
jaag uThtā huuñ agar raat ke sannāTe meñ
din meñ har moḌ pe ik hashr bapā rahtā hai
aur gum-sum hai nagar raat ke sannāTe meñ
din meñ 'merāj' mire dil ko sukūñ miltā hai
ḳhud se Dartā huuñ magar raat ke sannāTe meñ
chiKH uThti hai Dagar raat ke sannaTe mein
kaun hai mahw-e-safar raat ke sannaTe mein
khiDkiyan soi hui hain abhi hamsayon ki
ro raha hai mera ghar raat ke sannaTe mein
thak ke footpath pe soe hain abhi kuchh mazdur
ai saDak shor na kar raat ke sannaTe mein
meri khiDki nai taswir dikha deti hai
jag uThta hun agar raat ke sannaTe mein
din mein har moD pe ek hashr bapa rahta hai
aur gum-sum hai nagar raat ke sannaTe mein
din mein 'meraj' mere dil ko sukun milta hai
KHud se Darta hun magar raat ke sannaTe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.