chiKHen lambi ho jati hain
chīḳheñ lambī ho jaatī haiñ
to ḳhāmoshī ho jaatī haiñ
mahñge sapne mat dekhā kar
āñkheñ ḳhālī ho jaatī haiñ
shā'ir mahñge ho jaa.eñ to
ġhazleñ sastī ho jaatī haiñ
barg-o-bār harā rakhne meñ
shāḳheñ piilī ho jaatī haiñ
ek diyā raushan karne meñ
rāteñ kaalī ho jaatī haiñ
koī zabāñ ho dīvānoñ meñ
bāteñ phir bhī ho jaatī haiñ
patthar-vatthar bharte rahiye
ġhazleñ bhārī ho jaatī haiñ
chiKHen lambi ho jati hain
to KHamoshi ho jati hain
mahnge sapne mat dekha kar
aankhen KHali ho jati hain
sha'ir mahnge ho jaen to
ghazlen sasti ho jati hain
barg-o-bar hara rakhne mein
shaKHen pili ho jati hain
ek diya raushan karne mein
raaten kali ho jati hain
koi zaban ho diwanon mein
baaten phir bhi ho jati hain
patthar-watthar bharte rahiye
ghazlen bhaari ho jati hain
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 95)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.