chiKHenge chillaenge hum roenge
chīḳheñge chillā.eñge ham ro.eñge
vo jab chhoḌ ke jā.eñge ham ro.eñge
mausam saaz udāsī ke jab chheḌegā
giit parinde gā.eñge ham ro.eñge
khel dikhā.eñge jab apnī hālat kā
taalī log bajā.eñge ham ro.eñge
har mushkil meñ har hālat har mauqa par
hañsnā tumheñ sikhā.eñge ham ro.eñge
un kī ḳhushī meñ ham ḳhush hote the lekin
ab vo jashn manāeñge ham ro.eñge
apne ghar ke suune suune āñgan meñ
panchhī shor machā.eñge ham ro.eñge
khilte chehre dekh ke ḳhush haiñ aaj bahut
lekin jab murjhā.eñge ham ro.eñge
ghar meñ sab kī zimmedārī ham par hai
raat meñ sab so jā.eñge ham ro.eñge
aaj tumheñ jo hañste hañste chhoḌā hai
kal is par pachhtā.eñge ham ro.eñge
chiKHenge chillaenge hum roenge
wo jab chhoD ke jaenge hum roenge
mausam saz udasi ke jab chheDega
git parinde gaenge hum roenge
khel dikhaenge jab apni haalat ka
tali log bajaenge hum roenge
har mushkil mein har haalat har mauqa par
hansna tumhein sikhaenge hum roenge
un ki KHushi mein hum KHush hote the lekin
ab wo jashn manaenge hum roenge
apne ghar ke sune sune aangan mein
panchhi shor machaenge hum roenge
khilte chehre dekh ke KHush hain aaj bahut
lekin jab murjhaenge hum roenge
ghar mein sab ki zimmedari hum par hai
raat mein sab so jaenge hum roenge
aaj tumhein jo hanste hanste chhoDa hai
kal is par pachhtaenge hum roenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.