chiKHti rahti hai diwar dariche rote rahte hain
chīḳhtī rahtī hai dīvār darīche rote rahte haiñ
sone vaale paañv pasāre chain se sote rahte haiñ
rahtā thā jis shahr meñ shaam se shor-e-raqs-o-rāmish-o-rang
ab us shahr meñ raat raat bhar kutte rote rahte haiñ
hairat kī kyā baat hai is meñ tan se agar hai sar ġhā.eb
aise qisse is bastī meñ aksar hote rahte haiñ
paanī anqā bhūmī banjar taptā tāñbe sā ākāsh
ham bekār hī biij diloñ meñ dard ke bote rahte haiñ
kis hairat se aksar ham se pūchhne vaale pūchhte haiñ
is āseb-zada ghar meñ ham kis ke buute rahte haiñ
chiKHti rahti hai diwar dariche rote rahte hain
sone wale panw pasare chain se sote rahte hain
rahta tha jis shahr mein sham se shor-e-raqs-o-ramish-o-rang
ab us shahr mein raat raat bhar kutte rote rahte hain
hairat ki kya baat hai is mein tan se agar hai sar ghaeb
aise qisse is basti mein aksar hote rahte hain
pani anqa bhumi banjar tapta tanbe sa aakash
hum bekar hi bij dilon mein dard ke bote rahte hain
kis hairat se aksar hum se puchhne wale puchhte hain
is aaseb-zada ghar mein hum kis ke bute rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.