chiz rakhte hi dham se girti hai
chiiz rakhte hī dham se girtī hai
'ishq kī mez āḌī-tirchhī hai
mere nazdīk maañ kī DāñT-DapaT
garm roTī pe ghī ke jaisī hai
jis ko palkoñ pe honā chāhiye thā
phūñknī aur tave meñ uljhī hai
maut dhobī hai aur umiid hayāt
maile kapḌoñ kī ek gaThrī hai
khel jaarī hai sard rātoñ kā
maiñ huuñ jalve haiñ aur añgīThī hai
haath beTī kā kis ko sauñpe maañ
ka.ī maTke haiñ ik ghaḌau۔nchī hai
chakh ke donoñ ko ye huā mā'lūm
hoñT mīThe haiñ chaa.e phīkī hai
pas-e-parda haiñ laḌkiyāñ saarī
ek copy binā cover kī hai
chiz rakhte hi dham se girti hai
'ishq ki mez aaDi-tirchhi hai
mere nazdik man ki DanT-DapaT
garm roTi pe ghi ke jaisi hai
jis ko palkon pe hona chahiye tha
phunkni aur tawe mein uljhi hai
maut dhobi hai aur umid hayat
maile kapDon ki ek gaThri hai
khel jari hai sard raaton ka
main hun jalwe hain aur angiThi hai
hath beTi ka kis ko saunpe man
kai maTke hain ek ghaDau۔nchi hai
chakh ke donon ko ye hua ma'lum
honT miThe hain chae phiki hai
pas-e-parda hain laDkiyan sari
ek copy bina cower ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.