chilchilati dhup manzil dur tanha raste
chilchilātī dhuup manzil duur tanhā rāste
dekhte haiñ ham faqīroñ kā tamāshā rāste
maslahat-āmez hai rasm-e-vafā bhī āj-kal
dostī kī aaḌ meñ nikle haiñ kyā kyā rāste
shart hai azm-e-javāñ zauq-e-safar tark-e-maqām
manzileñ baḌh kar kareñgī ḳhud hī paidā rāste
ho rahī hai aaj phir mahsūs yādoñ kī chubhan
Das rahe haiñ aaj phir mujh ko ye tanhā rāste
'chāñd' apnī ziist ik bahte hue dariyā sī hai
pattharoñ meñ bhī jo kar letā hai paidā rāste
chilchilati dhup manzil dur tanha raste
dekhte hain hum faqiron ka tamasha raste
maslahat-amez hai rasm-e-wafa bhi aaj-kal
dosti ki aaD mein nikle hain kya kya raste
shart hai azm-e-jawan zauq-e-safar tark-e-maqam
manzilen baDh kar karengi KHud hi paida raste
ho rahi hai aaj phir mahsus yaadon ki chubhan
Das rahe hain aaj phir mujh ko ye tanha raste
'chand' apni zist ek bahte hue dariya si hai
pattharon mein bhi jo kar leta hai paida raste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.