chilla rahi hain jis pe zabanen lahu lagi
chillā rahī haiñ jis pe zabāneñ lahū lagī
ye vo sadā thī jo mujhe bār-e-gulo lagī
kyā kyā na miss kiyā tujhe maiñ ne firāq meñ
lekin tirī kamī jo tire rū-ba-rū lagī
maiñ tab qarār dūñgā tujhe apnā ham-suḳhan
jab merī ḳhāmushī bhī tujhe guftugū lagī
ab ghir ke rah gayā huuñ ajab azhdahām meñ
har aarzū key pusht se hai aarzū lagī
ai hasrat-e-kamāl kuchh apnā ḳhayāl kar
mar hī na jaa.e yuuñ mire siine se to lagī
badnām ho ga.e haiñ jise likh ke aaj ham
kal dekhiyegā film yahī kū-ba-kū lagī
bardāsht kā azaab mirī ḳhāmushī se pūchh
topeñ sadāoñ kī haiñ mire chaar sū lagī
chilla rahi hain jis pe zabanen lahu lagi
ye wo sada thi jo mujhe bar-e-gulo lagi
kya kya na miss kiya tujhe main ne firaq mein
lekin teri kami jo tere ru-ba-ru lagi
main tab qarar dunga tujhe apna ham-suKHan
jab meri KHamushi bhi tujhe guftugu lagi
ab ghir ke rah gaya hun ajab azhdaham mein
har aarzu key pusht se hai aarzu lagi
ai hasrat-e-kamal kuchh apna KHayal kar
mar hi na jae yun mere sine se to lagi
badnam ho gae hain jise likh ke aaj hum
kal dekhiyega film yahi ku-ba-ku lagi
bardasht ka azab meri KHamushi se puchh
topen sadaon ki hain mere chaar su lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.