chilman jo ek ruKH pe thi phenki utar kar
chilman jo ek ruḳh pe thī pheñkī utaar kar
ham ne anā kī gaThrī bhī rakh dī utaar kar
us paar jā ke kyoñ na koī lauTtā kabhī
dekheñge ham bhī dariyā meñ kashtī utaar kar
piñjra khulā to ruuh ko behad sukūñ milā
saarī thakān jism ne rakh dī utaar kar
jis kā ticket jahāñ kā hai us ko usī jagah
ye zindagī kī rail hai chaltī utaar kar
chilman jo ek ruKH pe thi phenki utar kar
hum ne ana ki gaThri bhi rakh di utar kar
us par ja ke kyon na koi lauTta kabhi
dekhenge hum bhi dariya mein kashti utar kar
pinjra khula to ruh ko behad sukun mila
sari thakan jism ne rakh di utar kar
jis ka ticket jahan ka hai us ko usi jagah
ye zindagi ki rail hai chalti utar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.