chilman uTha ke shab bhi dekhegi ab sawera
chilman uThā ke shab bhī dekhegī ab saverā
vo sub.h ban rahī hai kirnoñ kā ik baserā
zulmat kī vādiyoñ meñ anjān rāstoñ par
sūraj vo DhūñD legā jis ko milā añdherā
vo ḳhud hī aa ga.e haiñ taqdīr ko sajāne
tāroñ ko rāste meñ ham ne nahīñ bikherā
ḳhāmoshiyoñ meñ dhaḌkan likhtī hai ik tarāna
lagtā hai ab suhānā tanhā.iyoñ kā Derā
sau baar gir chukī hai nafrat kī barq is par
ik baar bhī na TuuTā ye ulfatoñ kā gherā
ai 'rāg' zindagī kī likhnī jo dāstāñ ho
likhnā kitāb meñ tum raushan koī saverā
chilman uTha ke shab bhi dekhegi ab sawera
wo subh ban rahi hai kirnon ka ek basera
zulmat ki wadiyon mein anjaan raston par
suraj wo DhunD lega jis ko mila andhera
wo KHud hi aa gae hain taqdir ko sajaane
taron ko raste mein hum ne nahin bikhera
KHamoshiyon mein dhaDkan likhti hai ek tarana
lagta hai ab suhana tanhaiyon ka Dera
sau bar gir chuki hai nafrat ki barq is par
ek bar bhi na TuTa ye ulfaton ka ghera
ai 'rag' zindagi ki likhni jo dastan ho
likhna kitab mein tum raushan koi sawera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.