chimniyon ke dhuen se aTa canwas aise dhundla gaya
chimniyoñ ke dhueñ se aTā canvas aise dhuñdlā gayā
pāniyoñ par falak se utartā huā chāñd pathrā gayā
vahshatoñ ke pharere ubharne lage saañs ghuTne lagā
ḳhvāb kā devtā naḳhvat-e-kām-gārī meñ saThiyā gayā
dekhte dekhte lahlahāte hue khet zahrā ga.e
factory se nikaltā huā azhdahā gaañv tak aa gayā
sat.h-e-tālāb pe kab numūdār ho dekhiye jal-parī
chāñd jis kī mohabbat meñ Duubā huā jhiil tak aa gayā
merā siina dafīna hai us naujavāñ kā jo chillātā thā
gaañv vaalo baḌho gaañv vaalo baḌho aaj sher aa gayā
apnī ThāTheñ sañbhālo mirī tishnagī ko baḌhāvā na do
dil agar is taraf ik zarā bhī phirā to ye dariyā gayā
chimniyon ke dhuen se aTa canwas aise dhundla gaya
paniyon par falak se utarta hua chand pathra gaya
wahshaton ke pharere ubharne lage sans ghuTne laga
KHwab ka dewta naKHwat-e-kaam-gari mein saThiya gaya
dekhte dekhte lahlahate hue khet zahra gae
factory se nikalta hua azhdaha ganw tak aa gaya
sath-e-talab pe kab numudar ho dekhiye jal-pari
chand jis ki mohabbat mein Duba hua jhil tak aa gaya
mera sina dafina hai us naujawan ka jo chillata tha
ganw walo baDho ganw walo baDho aaj sher aa gaya
apni ThaThen sanbhaalo meri tishnagi ko baDhawa na do
dil agar is taraf ek zara bhi phira to ye dariya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.