chingariyon ka raqs tha bujhte alaw mein
chingāriyoñ kā raqs thā bujhte alaav meñ
kal raat ek qatl huā thā paḌāv meñ
kyā us ke jī meñ aa.ī thī vo shaḳhs kaun thā
ik chīḳh kho ga.ī thī nadī ke bahāv meñ
duniyā ne us kī baat na maanī ye aur baat
sanjīdgī zarūr thī us ke sujhāo meñ
haiñ zer-e-āb gauhar-e-nāyāb be-shumār
kyā kyā sameT lā.eñge chhoTī sī naav meñ
ye kaun apne ruḳh kā saverā liye hue
chupke se aa gayā mire suune paḌāv meñ
us jaisā koī dūsrā miltā nahīñ 'sahar'
mash.hūr thā vo shaḳhs bahut rakh-rakhāv meñ
chingariyon ka raqs tha bujhte alaw mein
kal raat ek qatl hua tha paDaw mein
kya us ke ji mein aai thi wo shaKHs kaun tha
ek chiKH kho gai thi nadi ke bahaw mein
duniya ne us ki baat na mani ye aur baat
sanjidgi zarur thi us ke sujhao mein
hain zer-e-ab gauhar-e-nayab be-shumar
kya kya sameT laenge chhoTi si naw mein
ye kaun apne ruKH ka sawera liye hue
chupke se aa gaya mere sune paDaw mein
us jaisa koi dusra milta nahin 'sahar'
mashhur tha wo shaKHs bahut rakh-rakhaw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.