chitwan mein shararat hai aur scene bhi chanchal hai
chitwan mein shararat hai aur scene bhi chanchal hai
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
chitvan meñ sharārat hai aur scene bhī chanchal hai
kāfir tirī nazroñ meñ kuchh aur hī chhal-bal hai
baalā bhī chamaktā hai jugnū bhī damaktā hai
baddhī kī lipaT tis par tā'vīz kī haikal hai
gorā vo galā nāzuk aur peT milā.ī sā
siine kī safā.ī bhī aisī goyā maḳhmal hai
vo husn ke gulshan meñ maġhrūr na ho kyūñ-kar
baḌhtī huī Daalī hai uThtī huī koñpal hai
añgiyā vo ġhazab jis ko malmal hī kare dil bhī
kyā jaane ki shabnam hai nansukh hai ki malmal hai
ye do jo na.e phal haiñ siine pe tire zālim
Tuk haath lagāne de jiine kā yahī phal hai
ubhrā huā vo siina aur josh bharā joban
ek naaz kā dariyā hai ik husn kā bādal hai
kyā kiije bayāñ yaaro chanchal kī rukhāvaT kā
har baat meñ dur dur hai har aan meñ chal-chal hai
ye vaqt hai ḳhalvat kā ai jaan na kar kal kal
kāfir tirī kal kal se ab jī mirā bekal hai
kal maiñ ne kahā us se kyā dil meñ ye aayā jo
kañghī hai na choTī hai missī hai na kājal hai
mā'lūm huā ham se rūThe ho tum ai jaanī
ulTā hī dupaTTe kā mukhḌe pe ye āñchal hai
ye sun ke lagī kahne rūThī to nahīñ tujh se
par kyā kahūñ do din se kuchh dil mirā bekal hai
jis din hī 'nazīr' aa kar vo shoḳh mile ham se
hath-pher haiñ bose haiñ din raat kī mal-dal hai
chitwan mein shararat hai aur scene bhi chanchal hai
kafir teri nazron mein kuchh aur hi chhal-bal hai
baala bhi chamakta hai jugnu bhi damakta hai
baddhi ki lipaT tis par ta'wiz ki haikal hai
gora wo gala nazuk aur peT milai sa
sine ki safai bhi aisi goya maKHmal hai
wo husn ke gulshan mein maghrur na ho kyun-kar
baDhti hui Dali hai uThti hui konpal hai
angiya wo ghazab jis ko malmal hi kare dil bhi
kya jaane ki shabnam hai nansukh hai ki malmal hai
ye do jo nae phal hain sine pe tere zalim
Tuk hath lagane de jine ka yahi phal hai
ubhra hua wo sina aur josh bhara joban
ek naz ka dariya hai ek husn ka baadal hai
kya kije bayan yaro chanchal ki rukhawaT ka
har baat mein dur dur hai har aan mein chal-chal hai
ye waqt hai KHalwat ka ai jaan na kar kal kal
kafir teri kal kal se ab ji mera bekal hai
kal main ne kaha us se kya dil mein ye aaya jo
kanghi hai na choTi hai missi hai na kajal hai
ma'lum hua hum se ruThe ho tum ai jaani
ulTa hi dupaTTe ka mukhDe pe ye aanchal hai
ye sun ke lagi kahne ruThi to nahin tujh se
par kya kahun do din se kuchh dil mera bekal hai
jis din hi 'nazir' aa kar wo shoKH mile hum se
hath-pher hain bose hain din raat ki mal-dal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.