choT dil par lage aur aah zaban se nikle
choT dil par lage aur aah zabāñ se nikle
dard uTThe hai kahāñ aur kahāñ se nikle
pyaar hai us ko agar mujh se to anjām ye ho
ghar jale merā dhuāñ us ke makāñ se nikle
sī liyā ham ne to ulfat meñ laboñ ko apne
ab kisī dard kī āvāz kahāñ se nikle
mujh ko marne kā nahīñ ḳhauf tamannā ye hai
ruuh mahbūb kī bāñhoñ meñ yahāñ se nikle
chuuk āñkhoñ se huī hai yahī sach hai varna
koī ghāyal na ho jab tiir kamāñ se nikle
Thokareñ khā ke bhī sañbhle na zamāne kī ham
haath malte hue chup-chāp jahāñ se nikle
ham ko zarā hī samajhte the sitāre lekin
ban ke ham chāñd 'arun' saare jahāñ se nikle
choT dil par lage aur aah zaban se nikle
dard uTThe hai kahan aur kahan se nikle
pyar hai us ko agar mujh se to anjam ye ho
ghar jale mera dhuan us ke makan se nikle
si liya hum ne to ulfat mein labon ko apne
ab kisi dard ki aawaz kahan se nikle
mujh ko marne ka nahin KHauf tamanna ye hai
ruh mahbub ki banhon mein yahan se nikle
chuk aankhon se hui hai yahi sach hai warna
koi ghayal na ho jab tir kaman se nikle
Thokaren kha ke bhi sanbhle na zamane ki hum
hath malte hue chup-chap jahan se nikle
hum ko zara hi samajhte the sitare lekin
ban ke hum chand 'arun' sare jahan se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.