choT gahri mujhe lagi to nahin
choT gahrī mujhe lagī to nahīñ
dil kī hālat kabhī chhupī to nahīñ
hāsil-e-nutq ḳhāmushī to nahīñ
kahīñ me.arāj-e-ġham yahī to nahīñ
shaad rahnā hī jaise bhuul ga.e
ashk piinā koī hañsī to nahīñ
phuul ko phuul kar diyā jis ne
ashk-e-shabnam kī tāzgī to nahīñ
ahl-e-duniyā kī sard-mehrī se
barf jazbāt par jamī to nahīñ
is zamāne meñ zindagī karnā
dosto koī dil-lagī to nahīñ
jo khaTaktī hai har jagah mujh ko
kahīñ terī hī vo kamī to nahīñ
sāmne un ke aur gustāḳhī
ġhalatī mujh se ye huī to nahīñ
sabab-e-nā-rasā.ī-e-manzil
apnī kotāh-himmatī to nahīñ
tum jise tīrgī samajhte ho
paas hī kī vo tīrgī to nahīñ
gumrahī meñ maze hoñ laakh magar
gumrahī manzil-āgahī to nahīñ
maiñ nahīñ shākī-e-ḳhamoshī-e-bazm
achchhe sheroñ pe daad bhī to nahīñ
shāyad aa jaa.eñ phuul phal is meñ
shāḳh-e-ummīd abhī jalī to nahīñ
ye ta.assub junūñ ye maz.hab kā
asl-e-īmān-o-āgahī to nahīñ
aa.e din fitne aur hangāme
ye siyāsat kī abtarī to nahīñ
sharpasandī kī āñdhiyoñ se bhī
shama-e-insāniyat bujhī to nahīñ
jis se rahtā huuñ rāt-din sarshār
ilm-o-fan kī ye be-ḳhudī to nahīñ
dost kyoñ dostī ko bhuul ga.e
dostī koī dushmanī to nahīñ
ye mazāq-e-jadīdiyat tauba
tab.a-e-shā.er kī ājizī to nahīñ
na zabāñ kā na kuchh bayān kā lutf
shā.erī aaj be-tukī to nahīñ
aam bāteñ ġhazal meñ kah dī haiñ
ham ne kuchh ḳhaas baat kī to nahīñ
is zamīñ meñ bhī sach batā 'maġhmūm'
tab.a terī kahīñ rukī to nahīñ
choT gahri mujhe lagi to nahin
dil ki haalat kabhi chhupi to nahin
hasil-e-nutq KHamushi to nahin
kahin mearaj-e-gham yahi to nahin
shad rahna hi jaise bhul gae
ashk pina koi hansi to nahin
phul ko phul kar diya jis ne
ashk-e-shabnam ki tazgi to nahin
ahl-e-duniya ki sard-mehri se
barf jazbaat par jami to nahin
is zamane mein zindagi karna
dosto koi dil-lagi to nahin
jo khaTakti hai har jagah mujh ko
kahin teri hi wo kami to nahin
samne un ke aur gustaKHi
ghalati mujh se ye hui to nahin
sabab-e-na-rasai-e-manzil
apni kotah-himmati to nahin
tum jise tirgi samajhte ho
pas hi ki wo tirgi to nahin
gumrahi mein maze hon lakh magar
gumrahi manzil-agahi to nahin
main nahin shaki-e-KHamoshi-e-bazm
achchhe sheron pe dad bhi to nahin
shayad aa jaen phul phal is mein
shaKH-e-ummid abhi jali to nahin
ye tassub junun ye mazhab ka
asl-e-iman-o-agahi to nahin
aae din fitne aur hangame
ye siyasat ki abtari to nahin
sharpasandi ki aandhiyon se bhi
shama-e-insaniyat bujhi to nahin
jis se rahta hun raat-din sarshaar
ilm-o-fan ki ye be-KHudi to nahin
dost kyon dosti ko bhul gae
dosti koi dushmani to nahin
ye mazaq-e-jadidiyat tauba
taba-e-shaer ki aajizi to nahin
na zaban ka na kuchh bayan ka lutf
shaeri aaj be-tuki to nahin
aam baaten ghazal mein kah di hain
hum ne kuchh KHas baat ki to nahin
is zamin mein bhi sach bata 'maghmum'
taba teri kahin ruki to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.