choT khata hun muskuraata hun
choT khātā huuñ muskurātā huuñ
dard-e-ulfat magar chhupātā huuñ
un ke aane kā aaj va.ada hai
ārzūoñ kā ghar sajātā huuñ
sehn-e-gulshan meñ kuchh ujālā ho
āshiyāñ is liye jalātā huuñ
kārgar ho sakeñ na tadbīreñ
ab muqaddar ko āzmātā huuñ
jis jagah bhī guzar ho vahshat meñ
ik na ik naqsh chhoḌ jaatā huuñ
maiñ huuñ 'anjum' zamīn par lekin
āsmāñ par bhī jagmagātā huuñ
choT khata hun muskuraata hun
dard-e-ulfat magar chhupata hun
un ke aane ka aaj wada hai
aarzuon ka ghar sajata hun
sehn-e-gulshan mein kuchh ujala ho
aashiyan is liye jalata hun
kargar ho saken na tadbiren
ab muqaddar ko aazmata hun
jis jagah bhi guzar ho wahshat mein
ek na ek naqsh chhoD jata hun
main hun 'anjum' zamin par lekin
aasman par bhi jagmagata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.