choT par choT kha raha hun main
choT par choT khā rahā huuñ maiñ
ādatan muskurā rahā huuñ maiñ
us ke uupar to kuchh asar hī nahīñ
apnā dil kyoñ jalā rahā huuñ maiñ
aaj tanhā.ī meñ jo baiThe ho
kyā tumheñ yaad aa rahā huuñ maiñ
kaun aa.egā mujh se milne ko
apnā ghar kyoñ sajā rahā huuñ maiñ
aaj jī bhar ke dekh lo mujh ko
ab bahut duur jā rahā huuñ maiñ
kyā tumheñ ab bhī kuchh shikāyat hai
ab to sab kuchh kamā rahā huuñ maiñ
haath meñ degrēyāñ sajā.e hue
Thokareñ kitnī khā rahā huuñ maiñ
ab mujhe peT in se bharnā hai
ye jo ḳhanjar banā rahā huuñ maiñ
kal koī is ko bhī na chhoḌegā
ye jo paudā lagā rahā huuñ maiñ
choT par choT kha raha hun main
aadatan muskura raha hun main
us ke upar to kuchh asar hi nahin
apna dil kyon jala raha hun main
aaj tanhai mein jo baiThe ho
kya tumhein yaad aa raha hun main
kaun aaega mujh se milne ko
apna ghar kyon saja raha hun main
aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko
ab bahut dur ja raha hun main
kya tumhein ab bhi kuchh shikayat hai
ab to sab kuchh kama raha hun main
hath mein degreeyan sajae hue
Thokaren kitni kha raha hun main
ab mujhe peT in se bharna hai
ye jo KHanjar bana raha hun main
kal koi is ko bhi na chhoDega
ye jo pauda laga raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.