choT par choT lagti jati hai
choT par choT lagtī jaatī hai
yād-e-māzī mujhe satātī hai
zindagī to ġhamoñ kā daftar hai
ḳhvāb meñ bhī ḳhushī na aatī hai
dūriyāñ kaash ye simaT jātīñ
ab judā.ī sahī na jaatī hai
hoñ vo raazī to baaġh baaġh hai dil
vo jo rūTheñ to jaan jaatī hai
jab se un se ulajh ga.iiñ āñkheñ
chiiz koī mujhe na bhātī hai
umr merī bhī un ko lag jaa.e
lab pe 'nāsir' duā ye aatī hai
choT par choT lagti jati hai
yaad-e-mazi mujhe satati hai
zindagi to ghamon ka daftar hai
KHwab mein bhi KHushi na aati hai
duriyan kash ye simaT jatin
ab judai sahi na jati hai
hon wo raazi to bagh bagh hai dil
wo jo ruThen to jaan jati hai
jab se un se ulajh gain aankhen
chiz koi mujhe na bhati hai
umr meri bhi un ko lag jae
lab pe 'nasir' dua ye aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.