chubh gaya dil mein Khaar ki surat
chubh gayā dil meñ ḳhaar kī sūrat
vo jo rahtā thā yaar kī sūrat
uljhaneñ dard ābla-pā.ī
zindagī kohsār kī sūrat
kaun aa.egā is ḳharābe meñ
rang ḳhushbū bahār kī sūrat
laakh chāhā magar nahīñ niklī
qaid-e-ġham se farār kī sūrat
vaqt hai vo har ek siine par
ḳhauf baiThā hai maar kī sūrat
ab Thahartā kahāñ hai mehvar par
aadmī hai ġhubār kī sūrat
hosh-mandoñ ke shahr meñ bhaTke
ham 'sharāfat' gañvār kī sūrat
chubh gaya dil mein KHar ki surat
wo jo rahta tha yar ki surat
uljhanen dard aabla-pai
zindagi kohsar ki surat
kaun aaega is KHarabe mein
rang KHushbu bahaar ki surat
lakh chaha magar nahin nikli
qaid-e-gham se farar ki surat
waqt hai wo har ek sine par
KHauf baiTha hai mar ki surat
ab Thaharta kahan hai mehwar par
aadmi hai ghubar ki surat
hosh-mandon ke shahr mein bhaTke
hum 'sharafat' ganwar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.