chubh rahe hain aap ke jumle bahut
chubh rahe haiñ aap ke jumle bahut
phuul shāḳhoñ par haiñ kam kāñTe bahut
dhuup niklegī agar bārish ke baad
rang dīvāroñ se utreñge bahut
guftugū kā lutf aa.egā use
talḳh ho jā.eñge jab lahje bahut
ujle kapḌe the sabhī ke jism par
mez kī chādar pe the dhabbe bahut
kis tarah se ham kareñ koī gunāh
har jagah mil jaate haiñ apne bahut
zikr us kā mat karo 'jāved' se
ek dil hai aur haiñ sadme bahut
chubh rahe hain aap ke jumle bahut
phul shaKHon par hain kam kanTe bahut
dhup niklegi agar barish ke baad
rang diwaron se utrenge bahut
guftugu ka lutf aaega use
talKH ho jaenge jab lahje bahut
ujle kapDe the sabhi ke jism par
mez ki chadar pe the dhabbe bahut
kis tarah se hum karen koi gunah
har jagah mil jate hain apne bahut
zikr us ka mat karo 'jawed' se
ek dil hai aur hain sadme bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.