chubhta agarche paon mein kanTa chala gaya
chubhtā agarche paaoñ meñ kāñTā chalā gayā
lekin safar tavīl thā chaltā chalā gayā
vo bhī kahīñ pe bhiiḌ meñ mujh se bichhaḌ ga.ī
uktā ke maiñ bhī chhoḌ ke duniyā chalā gayā
ruḳhsat huā to aañkh meñ aañsū talak na the
hañstā huā vo haath hilātā chalā gayā
muddat ke baad sāmnā ik dost se huā
kuchh der Thahrā mujh ko bhī dekhā chalā gayā
ḳhālis ḳhudā ke vāste hotī koī namāz
zaa.e.a hamārā aaj bhī sajda chalā gayā
ham sochte haiñ baiTh ke ḳhalvat meñ jab kabhī
'shāhid' hamāre aage se kyā kyā chalā gayā
chubhta agarche paon mein kanTa chala gaya
lekin safar tawil tha chalta chala gaya
wo bhi kahin pe bhiD mein mujh se bichhaD gai
ukta ke main bhi chhoD ke duniya chala gaya
ruKHsat hua to aankh mein aansu talak na the
hansta hua wo hath hilata chala gaya
muddat ke baad samna ek dost se hua
kuchh der Thahra mujh ko bhi dekha chala gaya
KHalis KHuda ke waste hoti koi namaz
zaea hamara aaj bhi sajda chala gaya
hum sochte hain baiTh ke KHalwat mein jab kabhi
'shahid' hamare aage se kya kya chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.