chune hain barson dayar-e-fikr-o-nazar se shishe
chune hain barson dayar-e-fikr-o-nazar se shishe
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
chune haiñ barsoñ dayār-e-fikr-o-nazar se shīshe
lipaT ga.e haiñ ḳhayāl ke bām-o-dar se shīshe
vo be-ḳhabar hai ki us kī dahlīz tap rahī hai
pighal rahe haiñ tamāzat-e-sang-e-dar se shīshe
kisī kī āñkhoñ meñ ab bhī ehsās-e-tishnagī hai
chhalak rahe haiñ kisī ke aks-e-nazar se shīshe
sunā hai ab us ke paas patthar nahīñ bache haiñ
nikal hī ā.eñge kuchh na kuchh mere ghar se shīshe
ġhazal kā kundan sā ruup fan kī asaas chāhe
chaTaḳh rahe haiñ jarāhat-e-be-hunar se shīshe
lahū-lahū-uñgliyoñ meñ larza nahīñ hai 'naqvī'
laraz rahe haiñ figār hāthoñ ke Dar se shīshe
chune hain barson dayar-e-fikr-o-nazar se shishe
lipaT gae hain KHayal ke baam-o-dar se shishe
wo be-KHabar hai ki us ki dahliz tap rahi hai
pighal rahe hain tamazat-e-sang-e-dar se shishe
kisi ki aankhon mein ab bhi ehsas-e-tishnagi hai
chhalak rahe hain kisi ke aks-e-nazar se shishe
suna hai ab us ke pas patthar nahin bache hain
nikal hi aaenge kuchh na kuchh mere ghar se shishe
ghazal ka kundan sa rup fan ki asas chahe
chaTaKH rahe hain jarahat-e-be-hunar se shishe
lahu-lahu-ungliyon mein larza nahin hai 'naqwi'
laraz rahe hain figar hathon ke Dar se shishe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.