chup baiTha main kya kya sochta rahta hun
Interesting Fact
1967
chup baiThā maiñ kyā kyā sochtā rahtā huuñ
āḳhir maiñ kyuuñ itnā tanhā tanhā huuñ
pahroñ jin kī jhiil meñ khoyā rahtā huuñ
un āñkhoñ kī yaad meñ Duubā rahtā huuñ
tum jo bāteñ bhuul chuke ho muddat se
maiñ to un meñ ab bhī uljhā rahtā huuñ
tum badlo to badlo apnī raah magar
maiñ to ek Dagar par chaltā rahtā huuñ
sāda-pan kuchh nekī hī kā naam nahīñ
dekhne meñ to maiñ bhī sīdhā-sāda huuñ
tere ghar bhī pahuñchā hai ye shor kabhī
yā maiñ hī anjān sadā.eñ suntā huuñ
ghar kī dīvāroñ meñ yuuñ dil-tañg na ho
DhūñD mujhe maiñ is ghar kā darvāza huuñ
kyā kahiye ye kaise zamīñ hamvār huī
is sahrā meñ kaise paanī laayā huuñ
jis ne pyaar se dekhā us ke saath huā
sach pūchho to maiñ bhī ab tak bachcha huuñ
'anjum' maiñ kyuuñ duniyā par ilzām rakhūñ
āñkheñ haiñ to phir kyuuñ Thokar khātā huuñ
chup baiTha main kya kya sochta rahta hun
aaKHir main kyun itna tanha tanha hun
pahron jin ki jhil mein khoya rahta hun
un aankhon ki yaad mein Duba rahta hun
tum jo baaten bhul chuke ho muddat se
main to un mein ab bhi uljha rahta hun
tum badlo to badlo apni rah magar
main to ek Dagar par chalta rahta hun
sada-pan kuchh neki hi ka nam nahin
dekhne mein to main bhi sidha-sada hun
tere ghar bhi pahuncha hai ye shor kabhi
ya main hi anjaan sadaen sunta hun
ghar ki diwaron mein yun dil-tang na ho
DhunD mujhe main is ghar ka darwaza hun
kya kahiye ye kaise zamin hamwar hui
is sahra mein kaise pani laya hun
jis ne pyar se dekha us ke sath hua
sach puchho to main bhi ab tak bachcha hun
'anjum' main kyun duniya par ilzam rakhun
aankhen hain to phir kyun Thokar khata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.