chup-chap anjuman se kahan ja rahe hain log
chup-chāp anjuman se kahāñ jā rahe haiñ log
kuchh to huā hai aisā ki pachhtā rahe haiñ log
vo kaun sā gunāh kiyā hai ki sab ke sab
ik dūsre ko dekh ke sharmā rahe haiñ log
Dhalne lagī hai raat jharoke to khol de
tujh se hī raushnī kā yaqīñ pā rahe haiñ log
kyā baat hai shabāb pe hote hue bahār
bāġhoñ ke darmiyān bhī murjhā rahe haiñ log
dariyā ko kis ne chhū ke yuuñ mahkā diyā hai aaj
'māñjhī' idhar-udhar se khiñche aa rahe haiñ log
chup-chap anjuman se kahan ja rahe hain log
kuchh to hua hai aisa ki pachhta rahe hain log
wo kaun sa gunah kiya hai ki sab ke sab
ek dusre ko dekh ke sharma rahe hain log
Dhalne lagi hai raat jharoke to khol de
tujh se hi raushni ka yaqin pa rahe hain log
kya baat hai shabab pe hote hue bahaar
baghon ke darmiyan bhi murjha rahe hain log
dariya ko kis ne chhu ke yun mahka diya hai aaj
'manjhi' idhar-udhar se khinche aa rahe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.