chup-chap se is dasht mein zulmat ka saman hai
chup-chāp se is dasht meñ zulmat kā samāñ hai
pathrā.ī huī aañkh meñ sho.ala bhī kahāñ hai
sūkhe hue pattoñ ko jo rauñdo to sadā deñ
piste hue insān ke muñh meñ to zabāñ hai
azmat kī bulandī pe maiñ jis samt gayā huuñ
dekhā hai tire paañv kā pahle hī nishāñ hai
āñdhī jo chalī saath uḌā le ga.ī sab ko
kyā jāniye is dasht meñ ab kaun kahāñ hai
rokeñ bhī to 'ḳhāvar' use rokā nahīñ jaatā
jhoñke pe mujhe umr-e-gurezāñ kā gumāñ hai
chup-chap se is dasht mein zulmat ka saman hai
pathrai hui aankh mein shoala bhi kahan hai
sukhe hue patton ko jo raundo to sada den
piste hue insan ke munh mein to zaban hai
azmat ki bulandi pe main jis samt gaya hun
dekha hai tere panw ka pahle hi nishan hai
aandhi jo chali sath uDa le gai sab ko
kya jaaniye is dasht mein ab kaun kahan hai
roken bhi to 'KHawar' use roka nahin jata
jhonke pe mujhe umr-e-gurezan ka guman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.