chup-chap tu masti mein yahan apni uDe ja
chup-chāp tū mastī meñ yahāñ apnī uḌe jā
har baat pe ḳhush rah ke tū har dam hī hañse jā
jiine hī kahāñ dete haiñ ye log kisī ko
tū maut samajh ziist ko aur hañs ke jiye jā
dekhe haiñ ka.ī girte hue baam falak se
duniyā hai sitamgar yahāñ tū gir ke uThe jā
bātil kā yahāñ saath nahīñ denā tū ai dil
haq baat ke har nuqte pe himmat se laḌe jā
muflis ke liye jiinā hai har daur meñ mushkil
ye muflisī kā zahr bhī hañs hañs ke piye jā
ārām nahīñ pā.egā hai dauḌ hayātī
hai qabr meñ ārām yahī baat sune jā
'kokī' ne to kī baat hamesha hī pate kī
ye baat agar sach hai to phir baat sune jā
chup-chap tu masti mein yahan apni uDe ja
har baat pe KHush rah ke tu har dam hi hanse ja
jine hi kahan dete hain ye log kisi ko
tu maut samajh zist ko aur hans ke jiye ja
dekhe hain kai girte hue baam falak se
duniya hai sitamgar yahan tu gir ke uThe ja
baatil ka yahan sath nahin dena tu ai dil
haq baat ke har nuqte pe himmat se laDe ja
muflis ke liye jina hai har daur mein mushkil
ye muflisi ka zahr bhi hans hans ke piye ja
aaram nahin paega hai dauD hayati
hai qabr mein aaram yahi baat sune ja
'koki' ne to ki baat hamesha hi pate ki
ye baat agar sach hai to phir baat sune ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.