chup hain huzur mujhse koi baat ho gai
chup haiñ huzūr mujh se koī baat ho ga.ī
yā phir kisī se aaj mulāqāt ho ga.ī
taaza lagī thī choT ki mausam badal gayā
aur dekhte hī dekhte barsāt ho ga.ī
yuuñ to diye fareb kisī aur ne unheñ
lekin gunāhgār mirī zaat ho ga.ī
aa.e to dil meñ pyaar kā chashma ubal paḌā
aur chal diye to dard kī bohtāt ho ga.ī
chunte ho tīrgī meñ bhī taaza ġhazal ke phuul
kyā soch terī vāqif-e-hālāt ho ga.ī
ham ne kiyā savāl to vo chup rahe 'hasan'
lo aaj apnī baat ḳhurāfāt ho ga.ī
chup hain huzur mujh se koi baat ho gai
ya phir kisi se aaj mulaqat ho gai
taza lagi thi choT ki mausam badal gaya
aur dekhte hi dekhte barsat ho gai
yun to diye fareb kisi aur ne unhen
lekin gunahgar meri zat ho gai
aae to dil mein pyar ka chashma ubal paDa
aur chal diye to dard ki bohtat ho gai
chunte ho tirgi mein bhi taza ghazal ke phul
kya soch teri waqif-e-haalat ho gai
hum ne kiya sawal to wo chup rahe 'hasan'
lo aaj apni baat KHurafat ho gai
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 58)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.