chup raha nadan aur main dil ko yun puchha kiya
chup rahā nādān aur maiñ dil ko yuuñ pūchhā kiyā
kal khilaunā tum ne jo mujh se liyā thā kyā kiyā
dil-nashīñ ho kar bhī sūrat mujh ko dikhlā.ī na haa.e
mere ghar meñ rah ke mujh se aap ne pardā kiyā
un ke dar tak girte-paḌte nā-tavānī meñ ga.e
har qadam par ham ne vaqfa misl-e-naqsh-e-pā kiyā
ġhair se vaañ dīda-bāzī raat bhar hotī rahī
āsmāñ ko sub.h tak hasrat se maiñ dekhā kiyā
us but-e-parda-nashīñ kā naaz se kahnā ye haa.e
ḳhud to the badnām mujh ko kis liye rusvā kiyā
in dinoñ betāb ai 'safdar' rahā karte ho kyoñ
rabt kyā us barq-vash se tum ne phir paidā kiyā
chup raha nadan aur main dil ko yun puchha kiya
kal khilauna tum ne jo mujh se liya tha kya kiya
dil-nashin ho kar bhi surat mujh ko dikhlai na hae
mere ghar mein rah ke mujh se aap ne parda kiya
un ke dar tak girte-paDte na-tawani mein gae
har qadam par hum ne waqfa misl-e-naqsh-e-pa kiya
ghair se wan dida-bazi raat bhar hoti rahi
aasman ko subh tak hasrat se main dekha kiya
us but-e-parda-nashin ka naz se kahna ye hae
KHud to the badnam mujh ko kis liye ruswa kiya
in dinon betab ai 'safdar' raha karte ho kyon
rabt kya us barq-wash se tum ne phir paida kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.