chup rahun main to mere zer-o-zabar bolte hain
chup rahun main to mere zer-o-zabar bolte hain
Ghulam Mustafa Faraz
MORE BYGhulam Mustafa Faraz
chup rahūñ maiñ to mire zer-o-zabar bolte haiñ
TuuTī dīvār ke sab raḳhna-o-dar bolte haiñ
laakh sannāTā ho miltī nahīñ ġhauġhā se najāt
ran meñ shamshīreñ jo ruktī haiñ to sar bolte haiñ
ham se shorīda-saroñ ke liye anjām bhī kyā
bolte sach haiñ bahar-hāl agar bolte haiñ
log vāqif haiñ haqīqat se ab itnā na uḌo
kitnī parvāz parinde meñ hai par bolte haiñ
sang se tesha jo Takrā.e sadā uThtī hai
tez chaltī haiñ havā.eñ to shajar bolte haiñ
koī āvāz nahīñ koī bhī uslūb nahīñ
be-zabāñ hote haiñ din raat magar bolte haiñ
chup rahun main to mere zer-o-zabar bolte hain
TuTi diwar ke sab raKHna-o-dar bolte hain
lakh sannaTa ho milti nahin ghaugha se najat
ran mein shamshiren jo rukti hain to sar bolte hain
hum se shorida-saron ke liye anjam bhi kya
bolte sach hain bahar-haal agar bolte hain
log waqif hain haqiqat se ab itna na uDo
kitni parwaz parinde mein hai par bolte hain
sang se tesha jo Takrae sada uThti hai
tez chalti hain hawaen to shajar bolte hain
koi aawaz nahin koi bhi uslub nahin
be-zaban hote hain din raat magar bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.