chupke-chupke aankh jo sharma rahi hai
chupke-chupke aañkh jo sharmā rahī hai
phir kahānī ishq kī dohrā rahī hai
dhīmī dhīmī tishnagī kī lazzatoñ se
lamha lamha rut badaltī jā rahī hai
vo thakan jo manziloñ tak aa ga.ī thī
ab laboñ par muskurātī jā rahī hai
manzaroñ se kis qadar māyūsiyāñ haiñ
duur tak ik ḳhāmushī lahrā rahī hai
vo nazar jo sochtī hī rah ga.ī thī
ab udāsī kā chalan apnā rahī hai
phir kisī harf-e-tahī ke zā.iqe kī
aarzū hoñToñ pe sajtī jā rahī hai
sochtī sī tishnagī harf-o-sadā kī
ek nuqte par simaTtī jā rahī hai
kuchh ujāloñ kuchh añdheroñ meñ baTī sī
zindagī sad-rang hotī jā rahī hai
phir kisī mafhūm-e-avval kī ḳhabar sī
ik madhur muskān khiltī jā rahī hai
kuchh javāñ sī qurbatoñ kī sansanāhaT
shabnamī rishtoñ meñ Dhaltī jā rahī hai
chupke-chupke aankh jo sharma rahi hai
phir kahani ishq ki dohra rahi hai
dhimi dhimi tishnagi ki lazzaton se
lamha lamha rut badalti ja rahi hai
wo thakan jo manzilon tak aa gai thi
ab labon par muskuraati ja rahi hai
manzaron se kis qadar mayusiyan hain
dur tak ek KHamushi lahra rahi hai
wo nazar jo sochti hi rah gai thi
ab udasi ka chalan apna rahi hai
phir kisi harf-e-tahi ke zaiqe ki
aarzu honTon pe sajti ja rahi hai
sochti si tishnagi harf-o-sada ki
ek nuqte par simaTti ja rahi hai
kuchh ujalon kuchh andheron mein baTi si
zindagi sad-rang hoti ja rahi hai
phir kisi mafhum-e-awwal ki KHabar si
ek madhur muskan khilti ja rahi hai
kuchh jawan si qurbaton ki sansanahaT
shabnami rishton mein Dhalti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.