chupke chupke kaun ye dil par karam farmae hai
chupke chupke kaun ye dil par karam farmā.e hai
dard se taskīn miltī hai sukūñ taḌpā.e hai
dushmanoñ se pūchh kar dekho to az-rāh-e-ḳhulūs
mere baare meñ mire ahbāb kī kyā raa.e hai
jaane kis 'ālam meñ haiñ ehsās kī majbūriyāñ
maiñ bhulātā huuñ jise aksar vahī yaad aa.e hai
ye matā'-e-be-badal sab ke muqaddar meñ kahāñ
ġham 'atā karne se pahle dil bhī dekhā jaa.e hai
chheḌ in tāroñ ko lekin haañ zarā āhista chheḌ
yād-e-jānāñ ab to dil kā saaz TuuTā jaa.e hai
mere dil kā haal koī pūchhne vaalā nahīñ
aur merā dil ki ġhairoñ ke bhī ġham apnā.e hai
maiñ ne dekhā hai vo 'ālam bhī nigāh-e-shauq kā
jab tirī tasvīr meñ bhī jaan sī paḌ jaa.e hai
jo mire dil par guzartī hai kisī ko kyā ḳhabar
dekhne vaalā mirī sūrat se dhokā khaa.e hai
'badr' har 'ālam meñ hai 'ālam vahī pesh-e-nazar
koī sūrat ho vahī sūrat nazar aa jaa.e hai
chupke chupke kaun ye dil par karam farmae hai
dard se taskin milti hai sukun taDpae hai
dushmanon se puchh kar dekho to az-rah-e-KHulus
mere bare mein mere ahbab ki kya rae hai
jaane kis 'alam mein hain ehsas ki majburiyan
main bhulata hun jise aksar wahi yaad aae hai
ye mata'-e-be-badal sab ke muqaddar mein kahan
gham 'ata karne se pahle dil bhi dekha jae hai
chheD in taron ko lekin han zara aahista chheD
yaad-e-jaanan ab to dil ka saz TuTa jae hai
mere dil ka haal koi puchhne wala nahin
aur mera dil ki ghairon ke bhi gham apnae hai
main ne dekha hai wo 'alam bhi nigah-e-shauq ka
jab teri taswir mein bhi jaan si paD jae hai
jo mere dil par guzarti hai kisi ko kya KHabar
dekhne wala meri surat se dhoka khae hai
'badr' har 'alam mein hai 'alam wahi pesh-e-nazar
koi surat ho wahi surat nazar aa jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.