chupke chupke yaad ye kis ki aai hai
chupke chupke yaad ye kis ki aai hai
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
chupke chupke yaad ye kis kī aa.ī hai
dard meñ Duubī aaj mirī tanhā.ī hai
jis ne kiyā barbād hamāre gulshan ko
ġhair nahīñ hai vo apnā hī bhaa.ī hai
kaun hai apnā kaun parāyā kaisī vafā
sach kahne meñ apnī hī rusvā.ī hai
apnī ġharaz ke bande haiñ sab log yahāñ
sab kā maqsad jag meñ ḳhud-ārā.ī hai
kis kī huī hai jo terī merī hogī
ye duniyā to yug yug se harjā.ī hai
lauT ke pīchhe jaanā bhī hai nā-mumkin
aage dushman pīchhe gahrī khaa.ī hai
ūñchī ūñchī bāteñ kyoñ kartā hai 'majīd'
sastī shohrat kā tū bhī shaidā.ī hai
chupke chupke yaad ye kis ki aai hai
dard mein Dubi aaj meri tanhai hai
jis ne kiya barbaad hamare gulshan ko
ghair nahin hai wo apna hi bhai hai
kaun hai apna kaun paraya kaisi wafa
sach kahne mein apni hi ruswai hai
apni gharaz ke bande hain sab log yahan
sab ka maqsad jag mein KHud-arai hai
kis ki hui hai jo teri meri hogi
ye duniya to yug yug se harjai hai
lauT ke pichhe jaana bhi hai na-mumkin
aage dushman pichhe gahri khai hai
unchi unchi baaten kyon karta hai 'majid'
sasti shohrat ka tu bhi shaidai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.