chupke se koi aaya tha aansu baha gaya
chupke se koī aayā thā aañsū bahā gayā
ik sham' mere naam kī aa kar jalā gayā
ab tak samajh meñ ye nahīñ aayā vo kaun thā
ujḌā huā thā ghar koī aa kar basā gayā
jalne lagī thī kab se mirī sham’-e-intizār
jhoñkā havā kā aayā thā aa kar chalā gayā
merā yahāñ pe aane kā vā'da na thā koī
phir kaun merī raah meñ āñkheñ bichhā gayā
hālāt kaise rang badalte haiñ dekhiye
jo laḌkhaḌā rahā thā vo manzil ko pā gayā
hālāt kyā haiñ shahr ke tum jāntī ho 'nāz'
ujḌe hue the ghar koī aa kar basā gayā
chupke se koi aaya tha aansu baha gaya
ek sham' mere nam ki aa kar jala gaya
ab tak samajh mein ye nahin aaya wo kaun tha
ujDa hua tha ghar koi aa kar basa gaya
jalne lagi thi kab se meri sham’-e-intizar
jhonka hawa ka aaya tha aa kar chala gaya
mera yahan pe aane ka wa'da na tha koi
phir kaun meri rah mein aankhen bichha gaya
haalat kaise rang badalte hain dekhiye
jo laDkhaDa raha tha wo manzil ko pa gaya
haalat kya hain shahr ke tum jaanti ho 'naz'
ujDe hue the ghar koi aa kar basa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.