chura laya hun KHud ko apna saya chhoD aaya hun
churā laayā huuñ ḳhud ko apnā saaya chhoḌ aaya huuñ
maiñ us ke aa.ine meñ apnā chehra chhoḌ aaya huuñ
ab āñkhoñ meñ basā le yā supurd-e-āb kar Daale
maiñ us kī diary meñ ek sapnā chhoḌ aaya huuñ
ab aage dekhnā hai zindagī kyā shakl detī hai
maiñ chalte chaak par ḳhud ko adhūrā chhoḌ aaya huuñ
tū merā haq na de mehnat ke badle bhiik hī de de
maiñ apne ghar meñ sab bachchoñ ko bhūkā chhoḌ aaya huuñ
use Dar hai ki yuuñ merī anā na saath mar jaa.e
maiñ apne āḳhirī dushman ko zinda chhoḌ aaya huuñ
mire bachchoñ ko aapas meñ yahī to bāñTnā hogā
pas-e-parda jo nafrat kā asāsa chhoḌ aaya huuñ
ye laġhzish ho ga.ī kal mai-kade se be-ḳhayālī meñ
kisī kā ġham uThā laayā huuñ apnā chhoḌ aaya huuñ
uThā laatā to baḳhshish kā vasīla ban gayā hotā
maiñ masjid meñ jo 'az.har' ek sajda chhoḌ aaya huuñ
chura laya hun KHud ko apna saya chhoD aaya hun
main us ke aaine mein apna chehra chhoD aaya hun
ab aankhon mein basa le ya supurd-e-ab kar Dale
main us ki diary mein ek sapna chhoD aaya hun
ab aage dekhna hai zindagi kya shakl deti hai
main chalte chaak par KHud ko adhura chhoD aaya hun
tu mera haq na de mehnat ke badle bhik hi de de
main apne ghar mein sab bachchon ko bhuka chhoD aaya hun
use Dar hai ki yun meri ana na sath mar jae
main apne aaKHiri dushman ko zinda chhoD aaya hun
mere bachchon ko aapas mein yahi to banTna hoga
pas-e-parda jo nafrat ka asasa chhoD aaya hun
ye laghzish ho gai kal mai-kade se be-KHayali mein
kisi ka gham uTha laya hun apna chhoD aaya hun
uTha lata to baKHshish ka wasila ban gaya hota
main masjid mein jo 'azhar' ek sajda chhoD aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.