churae nazren kabhi muD ke dekhta bhi hai
churā.e nazreñ kabhī muḌ ke dekhtā bhī hai
ki tiir tirchhī nigāhoñ ke pheñktā bhī hai
ajiib shaḳhs hai likh kar phir apne dil kā varaq
na jaane kaun sī vahshat meñ moḌtā bhī hai
tum is pe chal ke mirī zaat meñ chale aao
ye pul-sirāt tumhāre liye khulā bhī hai
samajh ke soch ke aanā ki is mohabbat meñ
jahāñ sukūn hai is meñ to rat-jagā bhī hai
maiñ is haqīr ko āḳhir ye kaise samjhā.ūñ
faqat ḳhatā hī nahīñ ishq mo.ajiza bhī hai
maiñ jis ko maar ke zinda bhī rah nahīñ saktā
vahī zamīr hai merā vahī ḳhudā bhī hai
baḌe jatan se milā hijr-e-dā.imī mujh ko
yahī maraz hai mirā aur yahī davā bhī hai
bhale zamāne ne bhar dī hoñ talḳhiyāñ mujh meñ
mirī zabān pe urdu kā zā.iqa bhī hai
baḌe hī ġhaur se suntā hai saare sher magar
ġhalat kahan pe mujhe baḌh ke Toktā bhī hai
churae nazren kabhi muD ke dekhta bhi hai
ki tir tirchhi nigahon ke phenkta bhi hai
ajib shaKHs hai likh kar phir apne dil ka waraq
na jaane kaun si wahshat mein moDta bhi hai
tum is pe chal ke meri zat mein chale aao
ye pul-siraat tumhaare liye khula bhi hai
samajh ke soch ke aana ki is mohabbat mein
jahan sukun hai is mein to rat-jaga bhi hai
main is haqir ko aaKHir ye kaise samjhaun
faqat KHata hi nahin ishq moajiza bhi hai
main jis ko mar ke zinda bhi rah nahin sakta
wahi zamir hai mera wahi KHuda bhi hai
baDe jatan se mila hijr-e-daimi mujh ko
yahi maraz hai mera aur yahi dawa bhi hai
bhale zamane ne bhar di hon talKHiyan mujh mein
meri zaban pe urdu ka zaiqa bhi hai
baDe hi ghaur se sunta hai sare sher magar
ghalat kahan pe mujhe baDh ke Tokta bhi hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.