chum lo us hath ko jo hath bik jata na ho
chuum lo us haath ko jo haath bik jaatā na ho
vaqt kī sachchā.iyāñ likhne se ghabrātā na ho
hādisa ye hai ki merī pyaas ne bāñdhī hai aas
aise bādal se barasnā hī jise aatā na ho
koī raahī itnā bhī bebas nahīñ hotā jise
koī aañsū koī jugnū raah dikhlātā na ho
is kā imkāñ hai ki is shahr-e-sarāb-o-ḳhvāb meñ
jis ko pā letā ho insāñ us ko bhī paatā na ho
koī din aisā nahīñ ai ḳhūb-sūrat zindagī
jab mirī āñkhoñ meñ terā ruup lahrātā na ho
dil meñ armāñ le ke chaltā ho to mumkin hī nahīñ
aadmī shīshe se yā patthar se Takrātā na ho
vo koī tasvīr hai jis meñ na ho rang-e-vafā
vo koī manzar hai jo āñkhoñ ko bahlātā na ho
ik irāda hai junūñ hai ik safar hai zindagī
hādsoñ se vo Dare jiinā jise aatā na ho
aise sūraj se to miTTī kā diyā achchhā 'bashīr'
aisā sūraj jo kisī āñgan talak jaatā na ho
chum lo us hath ko jo hath bik jata na ho
waqt ki sachchaiyan likhne se ghabraata na ho
hadisa ye hai ki meri pyas ne bandhi hai aas
aise baadal se barasna hi jise aata na ho
koi rahi itna bhi bebas nahin hota jise
koi aansu koi jugnu rah dikhlata na ho
is ka imkan hai ki is shahr-e-sarab-o-KHwab mein
jis ko pa leta ho insan us ko bhi pata na ho
koi din aisa nahin ai KHub-surat zindagi
jab meri aankhon mein tera rup lahraata na ho
dil mein arman le ke chalta ho to mumkin hi nahin
aadmi shishe se ya patthar se Takraata na ho
wo koi taswir hai jis mein na ho rang-e-wafa
wo koi manzar hai jo aankhon ko bahlata na ho
ek irada hai junun hai ek safar hai zindagi
hadson se wo Dare jina jise aata na ho
aise suraj se to miTTi ka diya achchha 'bashir'
aisa suraj jo kisi aangan talak jata na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.