dad bhi sunta hai tu sunta hai tu fariyaad bhi
daad bhī suntā hai tū suntā hai tū fariyād bhī
vaqt-e-mushkil tū hī kartā hai mirī imdād bhī
jaal meñ phañsnā na hargiz ye tilismī baaġh hai
daam le kar hai yahāñ baiThā huā sayyād bhī
aap kī jalvagarī har sū numāyāñ dekh lī
kar diyā vīrān jis ko phir kiyā ābād bhī
aap kī bhaktī na jab tak ho to kyā hāsil mujhe
qaid-e-duniyā se agar ho jā.ūñ maiñ āzād bhī
dad bhi sunta hai tu sunta hai tu fariyaad bhi
waqt-e-mushkil tu hi karta hai meri imdad bhi
jal mein phansna na hargiz ye tilismi bagh hai
dam le kar hai yahan baiTha hua sayyaad bhi
aap ki jalwagari har su numayan dekh li
kar diya viran jis ko phir kiya aabaad bhi
aap ki bhakti na jab tak ho to kya hasil mujhe
qaid-e-duniya se agar ho jaun main aazad bhi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 187)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.