Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dad se shad nahin shikwa-e-bedad nahin

Waseem Farhat Alig

dad se shad nahin shikwa-e-bedad nahin

Waseem Farhat Alig

MORE BYWaseem Farhat Alig

    daad se shaad nahīñ shikva-e-bedād nahīñ

    ab to apnī bhī tabī.at pata yaad nahīñ

    kyā kahā un se rifāqat vajah TuuT ga.ī

    chalo achchhā huā naġhma nahīñ fariyād nahīñ

    kis qadar haif hai us bazm ārā.ish par

    jo tirī chaah ke sadqe meñ bhī barbād nahīñ

    aise vīrānoñ meñ dastak bhī kahāñ deñ ki jahāñ

    shahr-e-ḳhāmosh tamannāoñ se ābād nahīñ

    āḳhirash ho to gayā dil mudāvā lekin

    vasl meñ hijr vo lazzat-e-nāshād nahīñ

    yak-ba-yak dhund chhaTī nayyar-e-tābāñ niklā

    is se baḌh kar hameñ rāz-e-ġham-e-dil yaad nahīñ

    asr-e-hāzir adab rū-ba-tanazzul 'farhat'

    har vo naqqād hai abjad bhī jise yaad nahīñ

    dad se shad nahin shikwa-e-bedad nahin

    ab to apni bhi tabiat ka pata yaad nahin

    kya kaha un se rifaqat ki wajah TuT gai

    chalo achchha hua naghma nahin fariyaad nahin

    kis qadar haif hai us bazm ki aaraish par

    jo teri chah ke sadqe mein bhi barbaad nahin

    aise viranon mein dastak bhi kahan den ki jahan

    shahr-e-KHamosh tamannaon se aabaad nahin

    aaKHirash ho to gaya dil ka mudawa lekin

    wasl mein hijr ki wo lazzat-e-nashad nahin

    yak-ba-yak dhund chhaTi nayyar-e-taban nikla

    is se baDh kar hamein raaz-e-gham-e-dil yaad nahin

    asr-e-hazir ka adab ru-ba-tanazzul 'farhat'

    har wo naqqad hai abjad bhi jise yaad nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now